rahul da meewa
farherist-e-warq  
  Contact
  shayri
  paintings
  faraz shayri
faraz shayri
 

    Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna “Faraz”  Maine Wo Zakham Bhi Khaye Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The..
    Tanhai Tho Hai Saathi Apni Zindagi K Har Ek Pal Ki ” Faraz “ Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa K Kisi Nei Saath Na Diya…

    Na Murawat Na Mohabbat Na Khuloos Hain Faraz Main Tho Sharminda Hun Is Daur Ka Insaan Hokar..

 Kuch Zakhm Sadiyoun Baad…
Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai  “Faraz” Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti..

    Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz” Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad

    Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

    Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz, Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!

   Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ Main pyar likhon to tera naam likha jata hai..

Kuch Andhera Bhi…

    Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,, ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,, mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,, rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,, ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ” yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath.

    Apnay Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ .. Hazar bar lee hain tumne mere dil ki talashiyaan
 Yaad Ka NAsha

        

Chain o sukoon

 Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz

 Raat Bari Mushkil Se Sulaya

 Chahat Bharay Wo Lafz

Chahat Bharay Wo Lafz Aur har LAfz Mein Dua Faraz,
Maqrooz Kar Dia Humain Tumhari Khaloos Nay

 Mein Yunhi Bewafa

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!

 Bas Yehi Soch Ker

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,
Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!! 

 Usey Taraash K Heera Bana

Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faraz,
Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise ..>!!

 Ansoo Hansi Hansi Mein

 Kaat Kar Zuban Meri

Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FARAZ,
Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.

 Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Logo?n Se Mulaqato?n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai?n Bhuul Bhi jao?n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai?n Mujh Pe
Jin Logo?n Ki Parti Hyn

Nigaho?n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa?yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo?n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

 Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!

Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge

Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke

Aur muhabbat vahi andaz purane maNge

Ham na hote to kisi aur ke charche hote

Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge

Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`

Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge

 wo ankhain jheel c gehri

Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin

 jis shahkas ko phoolon

Maine jis shahkas ko phoolon se sajaya tha ?Faraz?!!
Meray seene main usee shahkas ka kanta utra

 Humaray baad nahin ay ga

Humaray baad nahin ay ga tumhain chahat ka asa maza ?Faraz?!
Tum logon se kehtay phiroo gay mujhe chahao us ki tarah!

 Unglian toot gaen

Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ?Faraz?!!
Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..
 

 Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
 

Dil se Utar Ja

Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga

tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga

dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
 

Uski Aankhain

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

 

 Mera Pehla Pyaar

Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,

Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,

Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,

Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,

Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,

Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,

Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,

Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,

Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,

Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.
 

Naam e Wafa

 

 Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain

Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

 Pathar na aye ga

 Shayari

Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!

 Tum saa hai ke tum ho ? 

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho

Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho

Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho

DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho

Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho

Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho

Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho

Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho

Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho

Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
 

 Tamaam umar 

Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
`Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani

Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!
 

 Ae khuda 

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,

Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,

Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain

Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain

Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain

Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain
 

Tum Khud Ko Juda 

Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz”
Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………
 

JaB Tak 

Na janE KaB Se Ho GayE ItNay ShiDDat PasaNd HaM ?
FArAz !
JaB Tak ZakhaM Na KhAyEn tAssalEE nAhi hoTi ?
 

Jatay Hoe

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .
 

Muskura diya 

Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,. 

 
 
  tere jaane ka kuchh aisa asar hua mujhpe,tujhe dhoondhtey dhoondhtey maine khud ko paa liya.........
----unknown
 
Today, there have been 33 visitors (110 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free